Sunday, 24 July 2016

Apni Jagha


🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Jab barasti jaati barq e zulfeqaar apni jagah
Dasht me kat kat ke girte hain sawaar apni jagha

Al qama kiya cheez hai gar murtaza ka sher ka
Hukm ho jaye badal den kohsaar apni jagha

Hamlaye Awwal Ali ke sher ko karne to do
choor kr bhagen sab paidal sawaar apni jagha

Sahkl me abbas ke, Sarwar ko nusrat ke liye
Saunp di Hider ne  apni yaadgaar apni jagha

Ehteraman Fatima zahra ko aata dekh kr
Choor dete the habeeb e kirdegaar apni jagha

Fatima zahra ke shauhar hain Ali e murtaza
Har sharf apni jagha ye ifteqaar apni jagha

Ki badi koshish zamane ne mitane ki magar
Aaj tak baqi hai kaabe me daraar apni jagha

Sab gham e shah ka asar hai jo hamari qaum ka
Aaj bhi jah o hasham hai barqaraar apni jagha.

Munkir e ghaibat jahannam me eram firdaus me
Bad guman apni jagha ba etebaar apni jagha.

🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Qataat

Jisko jtna ghroor hota hai
unta wo choor choor hota hai
aek ek ashk shaah ke gham ka
ba khuda koh e noor hota hai
Eram Mehdi

aaj ke rooz tak nahi mahdood
ye karm bar bar hota hai
har wo din jis se fatima khush hon
EID ka din shumaar hota hai
Eram Mehdi

kaun kar paayega ahsaan abutalib pr
Jaan so bàar ho qurbaan abutalib pr
mujh ko mil jaye sulaima'n ki hukoomat jo kahin
Waar dun taqt e sulaemaan abu talib pr

Eram Mehdi...


Sar e Khaibar jo chamki uski jodi daar rakkhi hai
Wo dekho teegh e abbas e alam bardaar rakkhi hai
Agar sarwar abhi abbas ko izn e wegha de den
Abhi shamamt tumhari lashkar e kuffar rakhi hai.

Eram Mehdi

Makaanullah ki malik maka'n hai fatma zahra
Md ki jiger para hain ja'n hai fatma zahra
nabi ka ehteramey sayeda karna batata hai
nabuwat ki zameen per asma'n hai fatma zahra

Eram Mehdi..

Ishqey abuturaab meri kainaat hai
Aur maatam e husain mataaye hayat hai
Sooli pe chadh ke meesam e tammar ne kaha
Karna ali se ishq yaqeenan nejaat hai..
Tumko yazeed  hmko mila fatima ka laal
Ye apne zarf apne muqaddat ki baat hai

Eram Mehdi..

Koi khursheed o khawar banta hai
Koi Daulat ke langar banta hai
Abu talib saqi ibn e saqi hai
Khuda ke den ko rahbar baanta hai

Eram Mehdi...

Dekh leta hun dar aal e Muhammad ki traf
Dil ki aawaz jo rabbe arani lagti hai
Kitni shaffaf hai dekho to sharaab e kausar
Chadar e midhate haider ki chani lagti hai

Eram Mehdi..


Kabhi masjid, Kabhi Mimber, Kabhi maqtal, Kabhi Nayza !
jahan Sahbbir hote hain wahan Quraan hota hai !!!!!!!
Abu Talib hm usko Saheb e Ema'n samajhte hain !!!!!
Wo jiska aapke Emaan pr Emaan hota hai !!!!!!!!!!!!!!!!!

Eram Mehdi

Uske bare me kayi sau saal tak soncha gaya!
Aek ek insaan se uska pata pucha gaya !!!!!!!!!
Alam e insaniyat ki rahbari ke waste !!!!!!!!!!!
Karbala ke baad sarwar ko bahut dhunda gya!

Eram Mehdi...

Jaan e Batool Jaan e payambar husain hai
roohe charragh o masjid o mimber husain hai
imraan ke chaman ka guletar husain hai
qayam maqam e saqiy e kausar husain hai

Islaam ko isi ne muqaddar ata kiya
gardan kata ke wadaye tifli wafa kiya

Eram Mehdi..

kahin pe zikr e Ali izzat o Sawab bana
kahin pe Bughz e Ali Baes e Azaab bana
jo door door the hur shaah se to zarra tha
Dar e husain pe aaya to aaftaab bana

Eram Mehdi..

Jis jagha meri jgha thi us jhaga tak le gaye
banda e nacheez ko bahr e saqa tak le gaye
Jab kabhi maine kaha sone pahle ya Husain
Khaab mujh ko Lucknow se karbala tak le gaye

Eram Mehndi

fikr e sipaah e shaam ka meyaar dekhye
paththar ko le ke aye hain guhar ke saamne
Asghar agar hasi na udayen to kiya karen
Auqat kiya hai teer ki asghar ke saamne

Eram Mehdi

bughz e ahlebait ki aynak hata kr dekhye
Fatima ke laal pr aanso baha kr dekhye
Sau qadam peeche hatengi dar ke sari mushkilen
do qadam shabbeer ki janib badha kr dekhye

Eram Mehdi


kar diya shabbeer ne pattahr ko gauhar dekhye
aaj kitana shaad hain hurre dilawar dekhe
Hath me jannat ki chabi, sar pe roomal e batool
is ko kehte hain muqaddar ka sikandar dekhye

Eram Mehdi

inhen allah ne kaunain ka rehbar banaya hai
bagair in ki muhabbat ke ibadat ho nahi sakti
Miyan bugh e ali se door hi rhiye to behtar hai
ye aisa jurm hai jisme zamnat ho nahi sakti

Eram Mehdi

Aisi beti ko jo ho kaar e risalat me shreek
Zeb deta hai jigar paraye taha hona .......
Aamena bint e wahab aap ki izzat ki qasam
Koyi Aasan nahi umm e Abiha hona...........

Eram Mehdi


firtus e bepar ki qismat me naye par likh diye
de diye Rahib ko bete daman e dil jhaar ke
Kar nahi sakta koi uski ataaon ka hisaab
fatema ka laal deta hai to chappar pahar ke

Eram Mehdi


jab tak na degi izn shahe do jahan ki rooh
tab tak rahegi qaid e chaman me Khizan ki rooh
charo taraf hissar e bahaar e batool hai
ye Sarzameen e karbobala hai jinan ki rooh
ayegi ab kabhi na zaeefi azaan par
Sarwar ne phoonk di hai kisi naujawab ki rooh
besheer ki hasi ki tanabon ne arash pr
dali kamad kheench li aabr e rawan rooh
Ghaibat se jald aaiye aye aakhri husain
muddat se be qaraar hai hindostan ki rooh

Eram Mehdi

Wiqaar e Khanaye kaaba badha gaye Sajjad
Khuda se abd e khuda ko mila gaye Sajjad
Riyaz e deen ko pazmurdagi ka khatra tha
Bahar e khuld e bari'n le ke a gaye Sajjad

Eram Mehdi


*علی والوں میں جو شامل نہ ہوگا* *وہ محشر میں کسی قابل نہ ہوگا* *نہ ہوگا پنجتن کا گر وسیلہ* *کوئی بھی مدعا حاصل نہ ہوگا* ارم مہدی

QATA *Fatima ka aek sipaahi pardaye ghaibat me hai* *waris e Sher-e Ilaahi pardaye ghiabat me hai* *Gulshan-e islaam jiska kr raha hai intezaar* *wo naseem e subha gaahi pardaye ghaibat me hai* Eram Mehdi

Imam o qibla o kaaba muhammad e Aakhir hai aaj dil ki tamanna muhamad e Aakhir Nikal ke pardaye ghaibat se bazm e aao dikhao noor ka jalwa muhammad e Aakhir Eram Mehdi

Ahle Shar jab kar rahe the rehzani ka faisla
ban gaya din ki sipar, jaan e nabi ka faisla
aaj tak bai'at tarasti hai Zamanat ke liye

kitna mohkam hai husain abn e ali ka faisla

Eram Mehdi

Sare Aalam me machi hai unki kartooton ki dhoom
pairwi kiya rang layi hai abu sufyaan ki
Aaj do dahshatgari ka shaikh pr ilzaam hai
ye saza hai mustafa pr tohmat e hizyaan ki



Charagh e madh e Ali ko lahu diya ham ne
Zamana noor e hidayat se faizyaab hua
Namaz e ishq e wilayat kahin qaza na hui
Faraz e daar pe bhi zikr e buturaab hua

Eram ke kufr ka unko guma'n to hoga hi Wila ki raah me ye imteha'n to hoga hi Ali ke ishq chupane se chup nahi sakta Hazaar Abr hon, sooraj aya'n to hoga hi
Khushi ki Shamma jalao ke Eid Zehra (as) hai
Utho Gulaal udaao ke Eid e zehra (as) hai
Suna hai Aabid e dilgeer (as) muskuraye Hain
Kahin se Paan mangao ke Eid e zehra (as) hai

Weqaar e Fatima zehra Hasan hai
Nabi ke god ka pala Hasan hai
Charaag o masjid o mimber hain Sarwar
Qayaam o Qibla o Kabaa Hasan hai 

Kahirul e Amal hai roz e jaza mahwar e nijaat
Sajon ko sirf, hashr ka Samaan mat samjh
meesam se pooch daar ki pur haul sakhtiyan
midhat abuturaab ki asaan mat samajh

Ahl e haq shaad hue kul ka maseeha aya
Marhaba salle ala dilbar e zehra aya
ban ke rahat ki khabar deen e ilahi ke liye
aaj dunya me muhammad ka nawasa aya


Friday, 8 July 2016

Hal Kahte hain.

Madh e Shabbir ko doha na gazal khte hain
Isko farmaan e pyambar pe amal kahte hain

Ham to Shabeer ko khate hain Nabi ka nayeb
aur abbas ko haider ka badal kahte hain

aap khte hain jise jung thi do shahon ki
Usko siffen ka hm radd e Amal kahte hain

Jisme bhaunke kisi bibi pe kelaab e hawwab
usko tareeq me sab jang e jamal kahte hain

Wasta deke eram rab se duyen kijye
Nam e Shabeer ko har cheez ka hal kahte hain

Kooh e Noor hojaye

Nishaan e bandagi mathe ka, kohenoor ho jaye
Ebadat wo karo allah ko manzoor ho jaye

jo ye kahden wahi quraan ka manshoor ho jaye
jo ye karden wahi islaam ka dastoor ho jaye

Zara soncho kabhi us shakhs ka Allah kiya hoga
jo khud jag me nusairi ka khuda mashhoor ho jaye

Nabi farmagaye hain, sirf usko jannati jaano
Ali ka naam sunte hi jo dil masroor ho jaye

Sadayen de rahe hain mimbar o mehraab masjid ke
Ali se bughz hai jisko wo ham se door hojaye

Jo Saghar me simant aye May e husn e ali akbar
Zulaikha muh lagate hi nashe me choor ho jaye

Saharf hasil hai ye ashk e gham e sarwar ko mahsar me
Huzoor e fatima wo durr e nayshapoor ho jaye

Ek aisa ayina hai sabt e ahmned ki azadari
agar patthar bhi takraye to chakna choor ho jaye

Mere malik adu e shaah ko itne masayab de
Ali naam lene pr zaban Majboor ho jaye

Gahm e sarwar ke sadqe naamye Aamaal se mere
Khataon ki siyahi hashr me kafoor ho jaye

Ariza bheej kr maine sukhan ki bheek mangi hai
dua kijye eram arzi meri manzoor ho jaye

Eram Mehdi...