Sunday, 2 February 2020

kaise ho

qarz zehra ki duaon ka ada kaise ho
Aarzooye dil e haider ki sana kaise ho

Sabr kar kar ke har aek gaam pe abbas e jari
ham ko batla gaye izhaar e wafa kaise ho

aiye nusairi tere aafkaar hain mantiq se pare
sajda karta hai khuda ko wo khuda kaise ho

rok sakte nahi Sarwar ki aza ko fatwe
sookhe patton se bhala sadde hawa kaise ho

ham se shabber ka gham cheena na mumkin hai
gul ki pehchaan hi khushboo hai juda kaise ho

Ashiq e haider karrar pe dozaq hai haraam
jo bura karta nahi us ka bura kaise ho

pardaye gaib ko chehre se hatado maula
Sare aalam me andera hai ziya kaise ho

bhooka piyasa ya Ali

Choor kar jaao na aise be sahara ya Ali
ghut ke mar jaayega har aashiq tumhara ya Ali

Yasab o makkah ho ya ho Arz e koofa ya Ali
ro rahi hai tere gham me sari dunya Ya Ali

ibn e muljim kar raha hai gul hidayat ka charaagh
Chaha raha hai sare aalam me andhera ya Ali

sar pe zarbat lag rahi hai sajadye maabod me
hil rahe hain kaba o arsh e moalla ya Ali

be zaban murghabiyon ki ashk bari ko salaam
haye kiya purdard gham hai tera aqa ya Ali

eid ka mahual hai aale abu sufyaan me
le liye badr o ohad ka tum se badla ya Ali

Sohr e matam hai fiza me ahle haq ghamgeen hain
hai labon par subh se bas aek nauha Ya Ali

charkh be raunaq sa lagta hai zameen tareek hai
Ahle Jannat ko hai tere gham ka sadma ya Ali

Shabbar o Shabbeer seena peette hain baar baar
ghash ke alam me pari hai bint e zehra ya Ali

zulm e koofa ibteda thi inteha hai Karbala
Aal e Ahmed ko yahan ghere hain aada Ya Ali

na koyi paas-e Khuda hai na koyi paas-e rasool
ho raha hai itrat o qura'n pe hamla ya Ali

So gaya shane kata kar nahr pr sher-e jawan
khoo'n me ghalta'n ho gaya qasim ka sehra ya Ali

Seenaye akbar se kheenchen kis tarha sarwar sina
Waqt e mushkil hai madad ko aao maula ya Ali

barchion bhalon se aisi mezbani ki gayi
mar gaya Sarwar tumhra bhooka piyasa ya Ali

raah e khaliq me luta kar apni sari kayenaat
khak par be aasra baitha hai kunba ya ALi

Eram Mehdi

qillaye kaibar ki traha

ham bhi koshish jo karen nafs e payambar ki traha
fath ho sakte hain dil qillaye kaibar ki traha

Dawat e haq hai zamane ko Aazan-e Akbar
Badh ke labbaik kahen hurre dilawar ki trha

inkishaf e gham e shabbeer hai ye bhi nuqta
Ashk chubhte hain sitamgaar ko nashtar ki trha

tanz hote hain jo har waqt azadari par
ham sajhte hain inhen taanaye abtar ki traha

Qulzum e  midhat e shabbir se jo bhi uljha
doob kr mr gaya firoon ke lashkar ki trha

Rashni mishal e aamaal me gar kam hogi
ashk chamkenge mere mehr e munawwar ki trha

ham azadaar hain us baagh e jina ke mushtaaq
jis ki har fasl ho fasl-e gham e sarwar ki trha

neek sohbat ka asar sab pe nahi parta hai
har sahabi hai kahan boozar o qambar ki trha

Jis ka dawa ho ke jo poochna chaho poocho
Aek insa'n na mila dahr me Haider ke tarha

Eram Mehdi

batool ke naam

ye din ye maah ye Saal e rawan batool ke naam
Meri hayaat, meri nabz e jaan batool ke naam

charagh o Shams o mah o khakashan batoo ke naam
Tamaam Azmat e Kaun o makan batool ke naam

bahtak rahe hain adu Abtari ke sehra me
Gham e husain ke sab gulsetan batool ke naam

gahm e jaha'n me ye aankhe'n kabhi nahi roti'n
Hai apne ashk ka har karwan batool ke naam
 
Razeeya, tahira, zehra, mohaddarah, kausar
Laqab ye hain sharaf e do jaha'n batool ke naam

Khilaaf e dushman e haider zaroor bolegi
Azal se waqf hai apni Zaba'n batool ke naam

Fidak ke choor fidak looteney me the masroof
Khuda ne kar diya bagh e jina'n batool ke naam

Eram madad hai unhi ki to is tarha kahiye
urooj e fikr, kamal e bayan batool ke naam

Eram Mehndi

Dil me jafakaari rahe

Jis ki shiryanon me zehra ki wafadaari rahe
Ghair mumkin hai ke us Dil me jafakaari rahe

Ta adab Yun hi ye faiz e karbala jaari rahe
Nasl me ya rab Meri sarwar ki ghamkhaari rahe

Dono Alam me muhibbe aal ko izzat mile
Dushman e Haider ke haq me Zillat o khaari rahe

Itni hajat hai ke marqad me mera ashke aza
Is qadar chamke ke Jannat Tak Ziyabari rahe

Koyi kotahi na ho zikr e gham e shabbir me
Jab talak zinda rahun zauq e azadaari rahe

Hath na phaile kabhi ahle jahan ke samne
Ashiq e Abbas hun, Ehsaas e Khuddari rahe

Eram Mehdi

firdaus khula hai

aa jao azakhakhanye shabbeer saja hai
kuch der ko darwazaye firdaus khula hai

Bijli hai ghatatop hai rimjhim hai hawa hai
har fasl me baaghe gham e shabbeer hara hai

Shola hai sharara hai qayamat hai bala hai
Dushman ke liye matam e Shabbeer Qaza hai

Rahmat ki shifaat ki qayamat ki jina'n ki
Kiya fikr hai jab zer e kafan khak e shifa hai

Har jaam pe kausar ke hai likhkha hua shabbar
Har badaye taseem pe shabbeer likha hai

kar sajdae tazeem Dar e daulat e sheh par
Is dar se payambar mile Allah mila hai

aek samat wilayat hai to aek samt saqeefa
Aur beech me Abbas ne khat khainch diya hai

Soraj sa nazar aane laga John ka chera
yun shaah ke rukhsaar se rukhsaar mila hai

Har ashiq e shabbeer hai haqdar jina'n ka
Har dushm e shabbeer ka dozakh hi sila hai

fatwae hi batae hain ki ye tu nahi mufti
Darbar e umayya ka namak bol raha hai

siddeeq ho farooq ho chahe wo ghani ho
lanat hai agar madar e shabbeer khafa hai

Qasir hai qalam zikr e shah e karbobala se
Ye fikr o shukhan saniye zehra ki ata hai

Ankhon se rawa'n hain alam o dard ka darya
maghmoon gham e sheh me zamane ki fiza hai

aek din ke jo ho zikr e gham e shaah se khaali
Aesa kabhi dunya me na hoga, na hua hai

Kehte hain eram apne liye qibla hai kaba
Kabey ke liye qiblaye ja'n karbobala hai


Eram Mehdi

Yaseen o Sadiq (as) ki

fazeelat dekh ley Kam aashna Yaseen o Sadiq (as) ki
Khudaye paak karta hai sana Yaseen o Sadiq (as) ki

Zamana jitna chahe gul nahi hogi qayamat tak
Dil-e momin me rausan hai wila Yaseen o sadiq (as) ki

Kahin zamzam kahin Kausar kahin tasneem e josh aawar
Salaa-e Aam hain sab Jaa baja Yaseen o sadiq (as) ki

nazar walon ne jab bhi Seeraten dekhin hain dono ki
lagi hai aek jaisi har ada yaseen o sadiq (as) ki

Basa lun usko main Surma Samajh kr apni ankhon me
Agar mil jaye mujh ko gard e pa Yaseen o sadiq (as) ki

uda le jayegi har dushman e haider ko dozakh me
chalegi Hashr me aisi hawa yaseen o Sadiq (as) ki

eram zer e kafan is manqabat ko sath le jana
Lahad me kaam ayegi ziya yaseen o sadiq (as) ki

Eram Mehdi

luta ke dekhte hai

Chalo ghadeer ka nagma suna ke dekhte Hain
Munafiqon ke kaleje Jala ke dekhte Hain

Khuda se jab nahi mila hai ham faqreeron ko
Ali ke dar pe naseeb aazma ke dekhte Hain

Dua zahoor ki karte to hain, magar Afsoos
Phir apne aap ko gardan jhuka ke dekhte hai

Alam ke auj fazeelat ko is trah samjho
Ke ahl e arsh ise sar utha ke dekhte hain

Hamare sabr ki meyaar kitna aala hai
Ajal ke teer ko bhi muskura ke dekhte hain

Unhi ko sheh ke fazael Nazar nahi aate
Jo bughz e aal ki ayenak laga ke dekhte hain

Ameer banne  ki hasrat tujhe eram hai to chal
Gham e Husain me sab kuch luta ke dekhte hai

Eram Mehdi

Wiladat hai Askari ki

jina'n ki bu bhi na pa sako gey agar adawat hai Askari ki
Wahi Hain bas kaamyab Jinke Dilon me ulfat hai Askari ki

Nabi ki itrat ka bughz tujhko zaroor mehnga parega aek din
Yahan tu waez Jo chahe Kar le wahan hukumat hai Askari ki

Samjh na ayega ahle Shar ko kabhi bhi Ibne naqi ka rutba
Pata to rooz e jaza chalega ke kitni Azmat hai Askari ki

duroon e marqad, baraoz e mehshar, baraye jannat, ta hauz e kausar
Tumhen zaroorat nahi to na ho hame zaroorat hai Askari ki

Wahi adalat wahi sakhawat wahi karamat wahi shajaat
Jo tarz o seerat thi Murtaza ki wo tarz o seerat hai Askari ki

Sajao masnad bicho nazren, jamao mehfil padho qaseede
Lagao salle ala ka nara Shab e Wiladat hai Askari ki

hawaye me khushbu jo ghul rahi hai, fiza ko makhmoor kr rahi hai
Bata rahi hai Chaman ki raunaq gulon me nikhat hai Askari ki

Inhi ki azmat ke saare Darya, khuda ne malfooz kr diye hain
wo jisko kehte hain aap qura'n Bayaz e midhat hai Askari ki

Eram Mehdi

darbadar nahi hoga

Dar e Ali pe jukha jis ka sar nahi hoga
Zaroor hoga wo shaita'n, Bashar nahi hoga

Nizam Deen ka zer o zabar nahi hoga
Adu Ali ke na honge to shar nahi hoga

Agar zara bhi adawat hai aale imra'n ki
Nabi ke qaul ka bhi kuch asar nahi hoga

Khuda ke lutf ka markaz hain Sab aza khane
Yahan Jo ayega wo darbadar nahi hoga

Wo jis ke paas khazana nahi hai ashkon ka
Marega jab to koi charagar nahi hoga

Aza se sab ko hidayat milegi ta mehshar
Ye aaftab kabhi be Sahar nahi hoga

Mera imam hai babul muraad ka waris
Eram ke haal se wo be khabar nahi hoga

Eram Mehdi

jalaane walon pr lanat

Mujrim e haq ka jurm chupane walon pr lanat
Kazib ko siddeeq batane walon pr lanat

Gham me nabi ke jashn manane walon pr lanat
Parcham e meer e shaam uthane walon pr lanat

Bakrey jaisi reesh badhane walon pr lanat
Bughz e Ali ka bagh lagane walon pr lanat

Payaye arsh e paak hilaane walon pr lanat
Zehra ka darwaza jalaane walon pr lanat

Piyare nabi ko chor ke jaane walon pr lanat
Dasht e wigha me peet dikhane walon pr lanat

Zalim se izhar e baraat ain e ibadat hai
Lanat ko bekaar batane walon pr lanat

Eram Mehdi