Saturday, 3 December 2016

Haye Kulsoom


Haye....Umme Kulsoom

nazdeek kiya qayamat e parwar digaar hai
kaba udaas arsh e bareen sogwar hai
marqad me aaj sher e kuda be qaraar hai
har samt ya ali o nabi ki pukaar hai

Phir aaj sayyada pe qayamat guzar gayi
Yasrab me aek shoor hai kulsoom mar gayi

*************


aye mominon husain ki dukhya guzar gayi
Tasweer e karbalaye mualla guzar giyi
mazlom bekason ka sahara guzar gayi
Kulsoom binte fatima zahra guzar gayi

duyna ne aek sans na lene di chain ki
ye aakhri bahen thi sheh e mashraqain ki

*************


shams o qamar udaas hain dunya udaas hai
bagh o chaman udaas hain sahra udaas hai
Geeti udaas arsh e mulalla udaas hai
Qibla udaas gumbad e khizra udaas hai

Mrqad laraz rahi hai kuda ke rasool ki
dunya se ja rahi hai nishani batool ki

*************


jiske jigar ka zakhm tha sadma husain ka
rah rah ke yaad ata tha lasha husain ka
phirta tha jo nigah me chehra husain ka
padhti sar ko peet ke nauha husain ka

Barson ke intezar ki us ko jaza mili
Bhai ko yad karti thi bhai se ja mili

*************

farsh e aza bicahiye, anso bahiye
kulsoom ki jhan ko museebat sunaiye
bibi ke gham me khaak saron pr udhaiye
Haider ki ladli ka janaza uthaiye

aah o fugahn o karb o museebat ki raat hai
ye raat fatima pe qayamat ki raat hai

*************


Eram Mehdi                        

Monday, 7 November 2016

Inqelaab Bana***

Jahan ye zikr e Ali Rehmat o sawab bana
Wahin ye bughz e Ali baes e azaab bana

Baraye baraye rumaal e Fatima Zahra
Chalak ke Ankh se askh e aza gulab bana

Hisar e sham me hur tha to aek zarra tha
Dar e Husain pr aya tab aaftaab bana

Ye tarbiyat ka samar hai teri abutalib
Koyi Rasool bana, Kooyi Bu turab bana

Na us Ali ka koi ban saka shareek kabhi
Na is Ali ka koi aak tak jawab bana

Har aek shey tu qadir hai qadir e mutlaq
Eram ko hujjat e akhir ka hamrkaab bana

Eram Mehdi

Saturday, 24 September 2016

*Sab ke liye*

kah gaye hain ye muhammad mustafa sab ke liye
bad mere murtaza hain rahnuma sab ke liye

Bich gaya farsh e gham e shaah e huda ke liye
Khul gaya khuld e bareen ka raasta sab ke liye

Aaiye le jayiye a kar dawa sab ke liye
Rauza-e shabbir hai daru -sh- Shifa sab ke liye

Ayiye pi lijye jaam-e wilayat shekh ji
baaz hai ishq-e Ali ka maikada sab ke liya

Mustaf hain fatima hain aur phir bara imaam
ye hidayat ka khudayi silsila sab ke liye

Dil me ishq-e haider karraar hona chahiye
Azdaha banta nahi yuhin asa sab ke liye.

Shaah ne pahle kharidi, khun milaya, aur phir
Waqf kar di sar zamin-e karbala sab ke liye

Fatema ke laal ki allah re darya dili
darsh me katwadiya sookha gala sab ke liye

Karbala sab ko bulayen sheh ziyarat ke liye
Ye dua karti hai dil se Nayyera sab ke liye

Eram Mehdi                         

*Ghdeer me us din*

*Ghdeer me us din*

Utha jo raaz se parda gahdeer me us din
Rukh e Ali nazar aya ghadeer me us din

Chali,n bahist se hoore,n balaye,n lene ko
Ali ka dekh ke chehra ghadeer me us din

Ali ko hath pe apne utha ke sahra men
Nabi ne sakbko dikhya ghadeer me us din

padi thi bughz e Ali ki naqaab aankon pr
Kisi ne kuch nahi dekha ghadeer me us din

Koi sawaal tere dil me tha agar munkir
Nabi se kiyu nahi pucha ghadeer me us din

Chitakh ke rah gayi kashti bani saqifa ki
Laga wo zoor ka jahtka ghadeer me us din

Jamaal hazrat e yousuf ka bhool jati wo
Agar jo hoti zulailkha ghadeer me us din

wahi to ahl e wila rat rahe hain sadyon se
eram sabaq jo mila tha ghadeer men us din

Thursday, 1 September 2016

Lahed me hai ***

Gham e sibt e payambar ka sila meri lahed me hai
Sawab e Midhat e sher e khuda meri lahed me hai

_______________

Fishare Qabr ka tarekiyon ka aur mashar ka
Mujhe kiya gham ho jab khak e shifa meri lahed me hai

_______________

Farisho aao farsh e majlis e sarwar bichate hain
ba fazle rab jagha beinteha meri lahed me hai

_______________

paye shirkat jina se agaye sare jina wale
suna jb majlis e shaah e huda meri lahed me

_______________


Pharira Parchm e Abbas ka dunay me chooma tha
mila ye ajr jannat ki hawa meri lahed me hai
_______________


khuda ka shukr hai badr ul aza meri lahed me hai
_______________

Eram Mehdi ✍🏻

Wednesday, 24 August 2016

Ehteraam Karte Hain***

Jo khahisaat ka khud ko ghulaam kate hain
Halaak hone ka wo ehtemaam krte hain

khuda ke deen ka barham nizaam karte hain
Zara si baat pe jo qatl e aam karte hain

wo jis ko chaand sitare salaam karte hain
usi ke hath pe patthar kalaam karte hain

ham unki maon ko farshi salaam karte hain
nabi ki aal ka jo ehteraam karte hain

Phir unse puch ke hm kiyun karen Sana e Ali
wo hmse puch ke kiya koi kaam karte hain

 Imaam e Asr pe padh kr durood ahl e wila
Yazeed e Asar ki needen haram karte hain

aza pe jitni bhi daulat lutai jati hai
immam gaib se sab intezaam karte hain

kaha khuda ne Ali aap ki muhabbat me
Bahist aap ke beton ke naam karte hain

ham ahl e bait ke dushman pa bahej kr lanat
bas aek waar me qissa tammam karte hain

Jo kaam bas ke nahi badshaah jaison ke
Ali wo aap ke adna ghulaam karte hain

rahi hayaat to phir madh e aal hogi eram
ab is kadi ka yahin ekhtetaam karte hain

Eram Mehdi📋

Tuesday, 23 August 2016

****Chorta hai *****

Jo sher e khuda ki wila chorta hai, wo allah ka raasta chorta hai
bhala uski naslen hon kaise halali, jo haj me tawaf e nisa chorta hai

tere dushmanon ki ali waye qismat , jahan jayen milti hai laant hi laanat
na ham chaorte hain unhen is jahan me, na mahshar me unko khuda chorta hai

Ali se Adawat nabi Adawat se , Ali se muhabbat Nabi se muhabbat
Jahannam me jhonkenge usko farishte, jo ishq-e shah-e la fata chorta hai

hatheli pe shamm-e shadat jalaye, naidamat se nazroon ko apni jukaye
chala hai qayaam-e shahe den ki jaanib, Lo Hur aaj apni aana chorta hai

wahi hai khasare me khta hai qura'n, wahi hoga rooz e qayamat paresha'n
fasanoon ki raston se maroob hokar, Haqeet ka jo raasta chorta hai

Nahi baaz aunga ishq-e Ali se, zamana daraye na hmko kisi se
Jahannam me bheje ya jannat me bheje, khuda pr Eram faisla chorta hai

Eram Mehdi


Sunday, 24 July 2016

Apni Jagha


🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Jab barasti jaati barq e zulfeqaar apni jagah
Dasht me kat kat ke girte hain sawaar apni jagha

Al qama kiya cheez hai gar murtaza ka sher ka
Hukm ho jaye badal den kohsaar apni jagha

Hamlaye Awwal Ali ke sher ko karne to do
choor kr bhagen sab paidal sawaar apni jagha

Sahkl me abbas ke, Sarwar ko nusrat ke liye
Saunp di Hider ne  apni yaadgaar apni jagha

Ehteraman Fatima zahra ko aata dekh kr
Choor dete the habeeb e kirdegaar apni jagha

Fatima zahra ke shauhar hain Ali e murtaza
Har sharf apni jagha ye ifteqaar apni jagha

Ki badi koshish zamane ne mitane ki magar
Aaj tak baqi hai kaabe me daraar apni jagha

Sab gham e shah ka asar hai jo hamari qaum ka
Aaj bhi jah o hasham hai barqaraar apni jagha.

Munkir e ghaibat jahannam me eram firdaus me
Bad guman apni jagha ba etebaar apni jagha.

🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Qataat

Jisko jtna ghroor hota hai
unta wo choor choor hota hai
aek ek ashk shaah ke gham ka
ba khuda koh e noor hota hai
Eram Mehdi

aaj ke rooz tak nahi mahdood
ye karm bar bar hota hai
har wo din jis se fatima khush hon
EID ka din shumaar hota hai
Eram Mehdi

kaun kar paayega ahsaan abutalib pr
Jaan so bàar ho qurbaan abutalib pr
mujh ko mil jaye sulaima'n ki hukoomat jo kahin
Waar dun taqt e sulaemaan abu talib pr

Eram Mehdi...


Sar e Khaibar jo chamki uski jodi daar rakkhi hai
Wo dekho teegh e abbas e alam bardaar rakkhi hai
Agar sarwar abhi abbas ko izn e wegha de den
Abhi shamamt tumhari lashkar e kuffar rakhi hai.

Eram Mehdi

Makaanullah ki malik maka'n hai fatma zahra
Md ki jiger para hain ja'n hai fatma zahra
nabi ka ehteramey sayeda karna batata hai
nabuwat ki zameen per asma'n hai fatma zahra

Eram Mehdi..

Ishqey abuturaab meri kainaat hai
Aur maatam e husain mataaye hayat hai
Sooli pe chadh ke meesam e tammar ne kaha
Karna ali se ishq yaqeenan nejaat hai..
Tumko yazeed  hmko mila fatima ka laal
Ye apne zarf apne muqaddat ki baat hai

Eram Mehdi..

Koi khursheed o khawar banta hai
Koi Daulat ke langar banta hai
Abu talib saqi ibn e saqi hai
Khuda ke den ko rahbar baanta hai

Eram Mehdi...

Dekh leta hun dar aal e Muhammad ki traf
Dil ki aawaz jo rabbe arani lagti hai
Kitni shaffaf hai dekho to sharaab e kausar
Chadar e midhate haider ki chani lagti hai

Eram Mehdi..


Kabhi masjid, Kabhi Mimber, Kabhi maqtal, Kabhi Nayza !
jahan Sahbbir hote hain wahan Quraan hota hai !!!!!!!
Abu Talib hm usko Saheb e Ema'n samajhte hain !!!!!
Wo jiska aapke Emaan pr Emaan hota hai !!!!!!!!!!!!!!!!!

Eram Mehdi

Uske bare me kayi sau saal tak soncha gaya!
Aek ek insaan se uska pata pucha gaya !!!!!!!!!
Alam e insaniyat ki rahbari ke waste !!!!!!!!!!!
Karbala ke baad sarwar ko bahut dhunda gya!

Eram Mehdi...

Jaan e Batool Jaan e payambar husain hai
roohe charragh o masjid o mimber husain hai
imraan ke chaman ka guletar husain hai
qayam maqam e saqiy e kausar husain hai

Islaam ko isi ne muqaddar ata kiya
gardan kata ke wadaye tifli wafa kiya

Eram Mehdi..

kahin pe zikr e Ali izzat o Sawab bana
kahin pe Bughz e Ali Baes e Azaab bana
jo door door the hur shaah se to zarra tha
Dar e husain pe aaya to aaftaab bana

Eram Mehdi..

Jis jagha meri jgha thi us jhaga tak le gaye
banda e nacheez ko bahr e saqa tak le gaye
Jab kabhi maine kaha sone pahle ya Husain
Khaab mujh ko Lucknow se karbala tak le gaye

Eram Mehndi

fikr e sipaah e shaam ka meyaar dekhye
paththar ko le ke aye hain guhar ke saamne
Asghar agar hasi na udayen to kiya karen
Auqat kiya hai teer ki asghar ke saamne

Eram Mehdi

bughz e ahlebait ki aynak hata kr dekhye
Fatima ke laal pr aanso baha kr dekhye
Sau qadam peeche hatengi dar ke sari mushkilen
do qadam shabbeer ki janib badha kr dekhye

Eram Mehdi


kar diya shabbeer ne pattahr ko gauhar dekhye
aaj kitana shaad hain hurre dilawar dekhe
Hath me jannat ki chabi, sar pe roomal e batool
is ko kehte hain muqaddar ka sikandar dekhye

Eram Mehdi

inhen allah ne kaunain ka rehbar banaya hai
bagair in ki muhabbat ke ibadat ho nahi sakti
Miyan bugh e ali se door hi rhiye to behtar hai
ye aisa jurm hai jisme zamnat ho nahi sakti

Eram Mehdi

Aisi beti ko jo ho kaar e risalat me shreek
Zeb deta hai jigar paraye taha hona .......
Aamena bint e wahab aap ki izzat ki qasam
Koyi Aasan nahi umm e Abiha hona...........

Eram Mehdi


firtus e bepar ki qismat me naye par likh diye
de diye Rahib ko bete daman e dil jhaar ke
Kar nahi sakta koi uski ataaon ka hisaab
fatema ka laal deta hai to chappar pahar ke

Eram Mehdi


jab tak na degi izn shahe do jahan ki rooh
tab tak rahegi qaid e chaman me Khizan ki rooh
charo taraf hissar e bahaar e batool hai
ye Sarzameen e karbobala hai jinan ki rooh
ayegi ab kabhi na zaeefi azaan par
Sarwar ne phoonk di hai kisi naujawab ki rooh
besheer ki hasi ki tanabon ne arash pr
dali kamad kheench li aabr e rawan rooh
Ghaibat se jald aaiye aye aakhri husain
muddat se be qaraar hai hindostan ki rooh

Eram Mehdi

Wiqaar e Khanaye kaaba badha gaye Sajjad
Khuda se abd e khuda ko mila gaye Sajjad
Riyaz e deen ko pazmurdagi ka khatra tha
Bahar e khuld e bari'n le ke a gaye Sajjad

Eram Mehdi


*علی والوں میں جو شامل نہ ہوگا* *وہ محشر میں کسی قابل نہ ہوگا* *نہ ہوگا پنجتن کا گر وسیلہ* *کوئی بھی مدعا حاصل نہ ہوگا* ارم مہدی

QATA *Fatima ka aek sipaahi pardaye ghaibat me hai* *waris e Sher-e Ilaahi pardaye ghiabat me hai* *Gulshan-e islaam jiska kr raha hai intezaar* *wo naseem e subha gaahi pardaye ghaibat me hai* Eram Mehdi

Imam o qibla o kaaba muhammad e Aakhir hai aaj dil ki tamanna muhamad e Aakhir Nikal ke pardaye ghaibat se bazm e aao dikhao noor ka jalwa muhammad e Aakhir Eram Mehdi

Ahle Shar jab kar rahe the rehzani ka faisla
ban gaya din ki sipar, jaan e nabi ka faisla
aaj tak bai'at tarasti hai Zamanat ke liye

kitna mohkam hai husain abn e ali ka faisla

Eram Mehdi

Sare Aalam me machi hai unki kartooton ki dhoom
pairwi kiya rang layi hai abu sufyaan ki
Aaj do dahshatgari ka shaikh pr ilzaam hai
ye saza hai mustafa pr tohmat e hizyaan ki



Charagh e madh e Ali ko lahu diya ham ne
Zamana noor e hidayat se faizyaab hua
Namaz e ishq e wilayat kahin qaza na hui
Faraz e daar pe bhi zikr e buturaab hua

Eram ke kufr ka unko guma'n to hoga hi Wila ki raah me ye imteha'n to hoga hi Ali ke ishq chupane se chup nahi sakta Hazaar Abr hon, sooraj aya'n to hoga hi
Khushi ki Shamma jalao ke Eid Zehra (as) hai
Utho Gulaal udaao ke Eid e zehra (as) hai
Suna hai Aabid e dilgeer (as) muskuraye Hain
Kahin se Paan mangao ke Eid e zehra (as) hai

Weqaar e Fatima zehra Hasan hai
Nabi ke god ka pala Hasan hai
Charaag o masjid o mimber hain Sarwar
Qayaam o Qibla o Kabaa Hasan hai 

Kahirul e Amal hai roz e jaza mahwar e nijaat
Sajon ko sirf, hashr ka Samaan mat samjh
meesam se pooch daar ki pur haul sakhtiyan
midhat abuturaab ki asaan mat samajh

Ahl e haq shaad hue kul ka maseeha aya
Marhaba salle ala dilbar e zehra aya
ban ke rahat ki khabar deen e ilahi ke liye
aaj dunya me muhammad ka nawasa aya


Friday, 8 July 2016

Hal Kahte hain.

Madh e Shabbir ko doha na gazal khte hain
Isko farmaan e pyambar pe amal kahte hain

Ham to Shabeer ko khate hain Nabi ka nayeb
aur abbas ko haider ka badal kahte hain

aap khte hain jise jung thi do shahon ki
Usko siffen ka hm radd e Amal kahte hain

Jisme bhaunke kisi bibi pe kelaab e hawwab
usko tareeq me sab jang e jamal kahte hain

Wasta deke eram rab se duyen kijye
Nam e Shabeer ko har cheez ka hal kahte hain

Kooh e Noor hojaye

Nishaan e bandagi mathe ka, kohenoor ho jaye
Ebadat wo karo allah ko manzoor ho jaye

jo ye kahden wahi quraan ka manshoor ho jaye
jo ye karden wahi islaam ka dastoor ho jaye

Zara soncho kabhi us shakhs ka Allah kiya hoga
jo khud jag me nusairi ka khuda mashhoor ho jaye

Nabi farmagaye hain, sirf usko jannati jaano
Ali ka naam sunte hi jo dil masroor ho jaye

Sadayen de rahe hain mimbar o mehraab masjid ke
Ali se bughz hai jisko wo ham se door hojaye

Jo Saghar me simant aye May e husn e ali akbar
Zulaikha muh lagate hi nashe me choor ho jaye

Saharf hasil hai ye ashk e gham e sarwar ko mahsar me
Huzoor e fatima wo durr e nayshapoor ho jaye

Ek aisa ayina hai sabt e ahmned ki azadari
agar patthar bhi takraye to chakna choor ho jaye

Mere malik adu e shaah ko itne masayab de
Ali naam lene pr zaban Majboor ho jaye

Gahm e sarwar ke sadqe naamye Aamaal se mere
Khataon ki siyahi hashr me kafoor ho jaye

Ariza bheej kr maine sukhan ki bheek mangi hai
dua kijye eram arzi meri manzoor ho jaye

Eram Mehdi...

Saturday, 25 June 2016

Imam e Hasan as.

Saheb e Ausaaf e paighambar hasan
Marzi e mabood ka mahwar hasan

Kalmilul imaaan hai dada tera
Markaz e islaam tera ghar hasan

teri ma,n hai do jahan ki maleka
Baap tera fatah e khaibar hasan

Jo teri dahleez par jhukte nahi
Thokaren kahte hain wo dar dar hasan

Sulho ka hai waqt, ya hai jung ka
Kaun jane aapse behtar hasan

Darj hain siffeen ki tareeq me
Aap ki talwar ke jauhar hasan

Dekh ke karbal me yaad ayi teri
Qasim e naushah ke tewar hasan

Ham hain dewane tere sibte rasool
Naam japte hain tera din bhar hasan

Aab e kauser se piyenge khuld me
Aapke pairon ko hm dhokar hasan

Aaj  hai youm e wiladat aapka
Tazkira hai aapka ka ghar ghar hasan

Jhoomta hai gumbad e khizra eram
Wajd me hai khaanye dawar  hasan

*Eram Mehdi*

Monday, 20 June 2016

Aur Main hun


Wila e Murtaza hai aur main hun
Sana e Fatima hai aur main hun

Shahe din ki aza hai aur main hun
Yahi sab mashghla hai aur main hun

Jina khud piche piche a rahi hai
Najaf ka rasta hai aur main hun

Hua mahsoos jab kaabe ko dekha
Ali ka saamna hai aur mai hun

Nabi ka qaul hai Jannat ka malik
Ali e murtaza hai aur main hun

Mujhe Zahra duayen de rahi hain
Sana e Ba wafa hai aur main hun

Tufail e Majlis o matam lahad me
Dar e Jannat khula hai aur main hun

Nabi bole Dil e Haider se waqif
Faqat mera khuda hai aur main hun

Andhero me bhi manzil dikh rahi hai
Gham e shah ki ziya hai aur main hun

Mujhe bhati nahi dunya ki Daulat
Dur e Ashk e Aza hai aur main hun

Qalam Tashna labon pr ro raha hai
Khayal e nainawa hai aur main hun

Mere maula madad ko a bhi jao
Sitam ki inteha hai aur main hun

Eram jannat ki khushboo a rahi hai
Dar e sher e khuda hai aur main hun

***Eram Mehdi***

Saturday, 4 June 2016

Aali Janab hota hai**

Ali ka zikr jise dasyaab hota hai
Nazar me qaum ki aali janab hota hai
Usi ko Shah ke fazael garan guzarte hain nahi
Wo jis ke baap ka nutfa kharaab hota hai

Tuesday, 10 May 2016

***Alamdaar Chahiye***

Allah deen e haq ko madadgaar chahiye
Yani shabeeh e haidar e karrar chahiye
Godi me leke bole ye Ahmed, Husain ko
Shabeer a gaye hain Alamdaar chahiye

Saturday, 30 April 2016

***Fursat nahi mili***


🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

غیروں کا نام لینے کی مہلت نہیں ملی
مدحِ ابو ترابؑ سے فرصت نہیں ملی

جس میں نہ ہو فضیلتِ اولادِ مصطفیٰؐ
قرآں میں ایسی کوئی بھی آیت نہیں ملی

اس دل کو کردگار نے دوزخ بنا دیا
مولا علیؑ کی جس میں محبّت نہیں ملی

جب تک مےِ ولایتِ حیدرؑ نہ نوش کی
تب تک کسی نبی کو نبووت نہیں ملی

بغضِ علیؑ سے دور ہی رہیے کہ آج تک
اس جرم میں کسی کو ضمانت نہیں ملی

ھوگا امیر میری نظر میں فقیر ھے
جس کو غمِ حسینؑ کی دولت نہیں ملی

ورنہ کچھ اور ہوتی یہ تاریخ کربلا
عبّاسؑ کو وغا کی اجازت نہیں ملی

ہستی امیر شام کی مٹی میں مل گئی
لیکن علیؑ کے لال کی بیعت نہیں ملی

جتنی ملی ارم کو در اہلبیت پر
اتنی کہیں بھی دہر میں عزت نہیں ملی


🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

سید ارم مہدی رضوی

Tuesday, 26 April 2016

***Ya Zainab e Kubra***



Ummat ne alh-e bait ko kaisa sila diya
Gham ka pahaar dilbare-e zehra pe dha diya..

betey nisaar kar diye ishq-e Ilaah me
Zainab ne deen-e haq ka muqaddar jaga diya..

Ayin watan jo laut ke zindan-e shaam se
Bibi ke shoor o shain ne yasrib hila diya..

Royin lipat ke qabr-e Risalat Maab se
Nana ko dil ka haal tha jo kuch suna diya..

Qabr-e Nabi pe Zainab-e Kubra ke bain the
hamko jahan ne loot ke bekas bana diya..

hai hai bacha na payi mai tere Husain ko
Jo kuch bhi mere paas tha nana luta diya..

Akbar ke dil pe maar ke barchi layeen ne
Naam o nishaan e Shibh e payambar mita diya..

manga jo aaab shaah ne besheer ki liye
Zalim ne teen bhaal ka nawak chala diya..

Qasim ki laash dasht me pamaal ho gai
Ummat ne paas-e aal-e payambar bhula diya

bad e jari husain ki ghurbat na puchye
Ham pr falak ne koh e masaeb gira diya

Ahl-e haram ki cheen lin aada ne chadaren
Asbaab loot le gaye khaima jala diya..

Zindan me char saal ki bachchi ki maut ne
Ahle haram ko khoon ke aansu rula diya..

Piyasa shaheed kr diya Sibt e Rasool ko
Islaam ke satoon-e hidayat ko dha diya..

Sookhe gale pe tegh chalayi Husain ke
Hai hai charaagh-e qabr-e Payambar bujha diya..

Nana tumhari god ke paale ne khoon se
Karb o bla ko qibla e Kaaba bana diya..

Eram Mehdi...

Saturday, 23 April 2016

**Shah e Madina Pahunche**


Jab jina haidar e karrar ke shyda pahunche
kair maqdam ke liye Shah e madina pahunche
______________________________________
Sharm se hashr ke maidan me Ali ke dushman
Dono hathon se chupaye hue chehra pahunche
______________________________________
Chand suraj pe usi ka to ijara hoga
Jis ki chaukhat ki ziyarat ko sitara pahunche
______________________________________
Deen e islam pe jab bhi koi mushkil ayi
Bahr e imamd Ali ban ke masiha pahunche
______________________________________
Ham agar manglen us dar se to bidat kaisi
Rotiyan lene ko jis dar pe farista pahuche
______________________________________
Is traha sham e aza dil me ho raushan jis se
Puri dunya me gham e shah ka ujala pahnche
___________________________________
Haj ko umre se badal kr paye tazeem e haram
Wadi e Karb o bala dilbar e zahra pahunche
______________________________________
yun dar e Khaimaye shabbir pa hur aye hain
Jaise ghar apne koi rah ka bhoola pahunche
______________________________________
Shoor sahil pe tha faujon me chalo bhag chalen
Is se pahle ke yahan sher Ali ka Pahunche
______________________________________
Ya Ali khake badhi mauj qadam bosi ko
Ran me Abbas e Ali jab lab e darya pahunche
______________________________________
Ye wo piyase hain jo nazron se isahara karden
Khud dar e kaima pe darya ka kinara pahunche
______________________________________
Yun gham e shah e sahidan me karo sinazani
Shoor matam ka eram ta ba surrayya pahunche

***Eram Mehdi***

Thursday, 14 April 2016

Haidari Gharana Hai...

Maut ek haqiqat hai aur sab fasana hai..
Bargh e khaliq me sab ko mar ke jana hai..
__________________________

Ham dua e Zahra hain maut se nahi darte
Ayen azama len wo jin ko azmaana hai
__________________________

Dushmanan e Zahra se dosti, are tauba
Hashr me Muhammad ko jake mu dikhana hai
__________________________

Aj ye jahan sara jis ke dam se qayam hai
Wo bs ek dunaya me Haidari gharana hai
__________________________

Dar badar bhatakne se hath kuch na ayega
Ayen majlis e shah me jin ko khuld jana hai
__________________________

Ham to ye azadari mar ke bhi na chorenge
Khuld me bhi sarwar ka farsh e gham bichana hai
__________________________

Shah ka gham puran hai, chor do ye kahte ho
Chord do chalo kaba wo bhi to purana hai
__________________________

Khauf ham ko mashar ki dhoop ka nahi bilkul
Jab dua e Zahra ka sar pe shamyana hai
__________________________

Apna peet kar sena sab ko ham sikhate hain
Bakhshishon ka darwaza kaise khat khatana hai
_________________________

Ghaur se suno bachhon, kal tumhen bada hokar
Parcham e shah e wala chand par lagana hai
__________________________

Bhej de mere malik Akhri Muhammad ko
Qaum ko unhe apna haal e dil sunana hai
__________________________

Gulashan e wilayat ka main Eram wo tayer hun
Shakh e midhat e Haider jiska ashyana hai

Monday, 11 April 2016

IMAM ALI NAQI .AS



Haider o Zahra ke dilbar hain Naqi .as
Waris e ilm e payambar hain Naqi .as

Chaand Suraj aur Sitare charkh par
Noor se tere munawar hain Naqi .as

Hain hamare aap ke daswen Imam
Han shafiye rooz e mahshar hain Naqi .as

Hu bahu Haidar ki ye tasveer hain
Hamil e khulq e payambar hain Naqi .as

Jis ki zaw se do jahan punoor hain
Taj e Ismat ke wo gauhar hain Naqi .as

Bekason ke qalb ki awaz hain
Zulm ki sine pe nashtar hain Naqi .as

Hain jo jauhar Haidar e karrar me
Aap me muzmar wo jauhar hain Naqi .as

Saqi e kausar hain yebhi, kiyun na hon
Malik e kausar ke dilbar hain Naqi .as

Kah rahe hain qaum ke peer o jawan
Jism o jan tumpar nichawar hain Naqi .as

Jinko jinko aap se ulfat nahi
Dil nahi hain unme pathar hain Naqi .as

Martaba Quraan se pucho Eram
Fikr se meri to bahar hain Naqi .as

Eram Mehdi

Monday, 28 March 2016

ALI ALI Kahke***

Khuda ne charkh banaya Ali Ali kahke
Zamen ka farsh bichaya Ali Ali kahke ***

Lagao Haidari Naara Ali Ali kahke
Hile Adu ka kalija Ali Ali kahke***

Imam e asr Ishara agr zami'n ko karen
Ugal ke rakhde dafina Ali Ali kahke ***

Kaha jina ke farishton ne fi aman ni allah
Qadam jo ghar se nikala Ali Ali kahke ***

Madad ko aye hain Abbas misl e sher e khuda
kisi ne jb bhi pukara Ali Ali kahke ***

Yazidiyon ka jahan me Husain walon ne
Haraam kr diya jina Ali Ali kahke ***

Jamal bant raha hai husain ka Akbar
Duayen mang zulaiqa Ali Ali kahke ***

Ali ke lal ke jhule se bal o par pa kar
Uda fiza me farishta Ali Ali kahke ***

Tumhare sher me jb waqt ka imaam aye
Adab se sar ko jhukana Ali Ali kahke ***

***ERAM MEHDI***

Tuesday, 22 March 2016

...Kausar Mila...

Rab ki taqseem to dekhye, Sab ko hissa barabar mila
Dushmano ko mili abtari, Aur Payambar ko kausar mila
Rahmaton ki ghata chai hai, Aaj tera rajab ka hai din
Aaj teri badaulat Ali, Bait e rab ko naya dar mila

Thursday, 17 March 2016

Markaz e Ismat Batool hai


Haq hai shareek e kaar e Risalat Batool hai
Kul panjatan me markaz e  ismat Batool hai
Unpar eram bahist ki khushbu haram hai
Naraaz jin se taba qayamat batool hai

Tuesday, 8 March 2016

Ya Fatima Zehra


Pursa nabi ko aj hai dena batool ka...
Sunye kaleja thaam ke naoha batool ka...
______________________________________

Ummat ne wo pahad sitam ke giraye hain
Bad e nabi muhaal hai jeena batool ka...
______________________________________

Batla raha hai ranj o masaib ki dastan
Ghar me asa ko tek ke chalna batool ka...
______________________________________

Khati thin sar ko pet ke baba tumhare bad
Dusman hua hai sara zamana batool ka...
______________________________________

Aada jala rahe hain dar e buturaab ko
Maalik ye imtehan hai kaisa batool ka...
______________________________________

Allah ke nabhi ki lahed ko hila gaya
deewar o dar ke beech me aana batool ka

Pahlu pakard ke roone lagin binte mustafa
Fizza pukarin mar gaya baccha batool ka...
______________________________________

Kulsoom aj mominon bin man ki ho gayin
zainab ke sar se uth gaya saya batool ka...
______________________________________

Hasnain nala zan hain fiza sogwar hai
kandhon pe hai Ali ke janaza batool ka...
______________________________________

Ummat ne khoob ajr e Risalat kiya ada
Mismar kr ke dahr me rauza batool ka...

Kaise nabi se ankh milayenge wo eram
Jinko khatak raha hai gharana batool ka...

***ERAM MEHDI***


Tarana e Haidari

Haider teri wilayat hai ashiyan hamara
Ham bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara...

Rahta hun Lucknow me dil hai mera Najaf me
Samjho wahin hamen bhi, dil ho jahan hamara...

Abbas ke alam ko ham kiyon na den salami
Wo santari hamara, wo pasban hamara...

Nahr e furaat teri maujon ne di salami
Utra tere kinare jab karwan hamara...

Muddat se dha rah hai zulm o sitam zamana
Ab tak magar hai baqi, nam o-nishan hamara...

Ek pal ko bhi na chora maula tumhare dar ko
Sadyon raha hai dushman daur e zaman hamara...

 ***ERAM MEHDI***

* matam dar tak*


kon rakhta hai rasayi parda e anwaar tak
pair kis ke aye dosh e Ahmed e Mukhtaar tak***

A na payi boozar o salmaan ke meyaar tak
khaak pahunche gi ye dunya haidari kirdaar tak

Maghferat ke wastey jana tha jo ghaffar tak***
Sar jhuka kar a gaye hm Haider e Karrar tak***

Har payambar, aap ka marhoon e minnat hai Ali
hazrat e Adam se lekr Ahmad e Mukhatar tak***

Dushman e ala e Nabi se hafize ke sath sath
Salb kr leta hai khaliq quwat e guftar tak***

Dekhye Sher e Ali ke toote naize kamaal
al qama qabze me hai, is paar se us paar tak***

Hai Rawayat me ke Haider ki ijazat ke bagair
Maut a sakti nahi hai shah ke matamdar tak***

Mil gyi chashm e baseer rauzaye Hur se unhen
Aa gaye jo Karbala ki wadiye bedaar tak

Baiat e fasiq ka lasha beriyon ki shakl me
khinch kr laye hain Abid Shaam ke darbar tak***

zainab o sajjad ke khudbe bha kr le gaye
talib e bait ko us ke kaifar e kirdar tak***

Tazyane pusht e aabid pr lage jab jab eram
Keh rahi thi ya Ali zangeer ki jhankar tak***

 **ERAM MEHDI**

Matam e Shabbir se...

Din khuda ne ye dikhaya khubi e taqdeer se...
Mas hui a kar jabin meri dar e shabbir se...
--------------------
Rah e haq me qaid hona seerat e sajjad hai...
Darne wale hm nahi hain tauq se zanjeer se...
--------------------
Arsh ke paye se takraye Sada e Ya husain...
Zalimon ke dil hilado matam e shabbir se...
--------------------
Shakl e akbar aur payamber ek si ayi nazar...
Jab mila kar dekha hai tasveer ko tasveer se...
--------------------
Pusht pr jab aalam e sajda me ayenge Husain...
Sar uthayenge payamber marzi e shabbir se...
--------------------
Teer, seh shoba chalana, hai daleel is baat ki...
Hurmula darta tha kitna asghar e besheer se...
--------------------
Jis ko jannat chahiye, aye dar e Shabbir par...
Aur jannat mil nahi sakti kisi tadbeer se...
--------------------
Chauthi manzil par jinhone mana apna rahnuma...
Wo Ali tak aye to, lekin bahut takheer se...
--------------------
Waqt ka hakim bhi ho to, ho gaya hai pash pash...
Jab bhi takraya koi diwana e shabbir se...
--------------------
Hai par e jibreel pr ab tak nishan e zulfiqaar...
Zarb kuch aisi lagi hai dast e khaebar geer se...
--------------------
Ye qaseeda rooz e mahshar hath me hoga mere...
Hashr me le lunga mai jannat isi tahreer se...
--------------------
Ahl e dunya ki sana hargiz nahi krta Eram...
Kaam rahta hai use bs midhat e Shabbir se..

***ERAM MEHDI***

Monday, 7 March 2016

Waqt ki raftaar ke upar



Ghata jaise barasti hai gul o gulzar ke upar...
Hui baarana e rahmat rab ki, Matamdar ke upar...
---------------------
Karen kiyun kar bhrosa jung me farrar ke upar...
Yaqen hai jab nabi ko Haider e karrar ke upar...
----------------------
Ali ke chahne wale bade khuddar hote hain
Kabhi marte nahi ye dirham o deenar ke upar...
----------------------
Isahra kardiya to dubta suraj plat aya
Hukoomat hai Ali ki, waqt ki raftaar ke upar...
----------------------
Ali paida hue tera rajab ko jaof e kaba me
nishani aj bhi maujood hai deewar ke upar...
----------------------
Agar mauqa mile to bhaag le maidan se Marhab
Ali hamla nahi krte kisi farrar ke upar...
----------------------
fazail shaan me farrar ke gadhte raho jitne
fida hai har shujaat Haider e karrar ke upar...
----------------------
Agar Sarwar kahin Abbas ko shamsheer de dete
utha leta yazeedi fauj ko talwar ke upar ...
----------------------
Mile gi maut zillat ki use saddam ke jaisi
Sitam dhayega jo sarwar tere zawwar ke upar...
----------------------
Eram, ek pal me dheron ko jahannam krdiya wasil
Chali jab ran me tegh e Haidari kuffar ke upar...

Eram Mehdi

*Bint e Murtaza paida hui*



Aaj ghar me Sayyada ke Sayyada paida hui...
Khahar e shabbeer bint e Murtaza paida hui...


Fatemi ausaf se aarasta paida huai..
Chant gaye sare andhere Nayyera paida hui...


Ayega sara zamana sikhne deen ke uloom
Babe Shar e ilm ke ghar Aalema paida hui...


Ban ke zeenat baap ki ayi hai Zainab naam hai
Zalimon ke waste bankar Qaza paida hui...


Shukr ke sajde kregi lash pr beton ki jo
Naz hai sajdon ko aisi Sajida paida hui...


Ye Ali e Murtaza ke khoon ki taseer hai
Mil gaya jo khaak se khaak e Shifa paida hui...


Bas wahi roz-e-qayamat khud jayenge Eram
Dil me jinke ulfat e sher e Khuda paida hui...


***Eram Mehdi***

Imam e Askari as.

Farsh  mahfil ka bichaya  hai baraye Askari as.
Khanaye midhat hua mahw e sanaye Askari as.
Dil   kahega  Haider  e  Karrar   wapas  a  gaye
Ordh  kar Qaim jab  ayaenge abaye  Askari as.