Sunday, 23 July 2017

Rindaan e Abutalib

Hai karbobala juu e faizan e Abutaalib
Peete hain yaha'n dat kar rindaan e Abutaalib

Wal-laah ye misra hai shayaan e abutalib
"emaan ka markaz hai emaan e Abutaalib"

Payghambar e Aazam ko godi me khilaya hai
Allah !! main ho jaoun qurbaan e Abutaalib

Al- Nasr ki har ayaat karti hai sana in ki
Al-hamd qaseed hai dar shaan e Abutaalib

Allah ne kis darja ulfat se sajaya hai
Gulhaye Imaamat se Guldaan e Abutaalib

hain dosh e muhammad pr shabbeer sar e masjid!!
ya, rehl-e risalat pr quraan e Abutaalib

Bahlool ke hathon se jannat me makan paye
Deewana agr padh le Deewan e Abutaalib

mahfooz rahe qahr e toofaan e hawadis se
jis ghar me saje bazm e Irfaan e Abutaalib

hai pesh e nazar seerat sarkaar e do aalam ki
chora hai na chorenge damaan e Abutaalib

Har millat o mazhab ke afraad chale ayen
Jannat se kushada hai Aewaan e Abutaalib

do qism ke insa'n hi fardaus me jayenge
khasaan e abutalib, shiyaan e Abutaalib

dunya se eram jana, ashaar bhi le jana
kehlaoge mahshar me hassaan e Abutaalib

Eram Mehdi

Friday, 14 July 2017

Dhoond leta hai

بسم اللہ الرحمن الرحیم

Wo jaise jauhari sachcha nageena dhoond leta hai
Ali ka ishq pakiza qabeela dhoond leta hai

Paye guldasta e eesaar , koyi Hur ki Surat me
Bala ke dast se laal e shagufta dhoond leta hai

kabhi roke nahi ruktin azaaye shaah ki maujen
Samadar koyi na koyi zareeya dhoond leta hai

Ali wala munafiq ko jala kar shamme midhat se
Nabi ke bughhz ka dil me Sharaarah dhoond leta hai

jise hurr e jari chashm e baseerat bakhsh dete hain
andheron se nikalne ka tareeqa dhoond leta hai

Shaheed be khata ke khoo'n ka jab toofaan banta ta hai
Sitam ijaad ka daarul amarah dhood leta hai

Zabardsti nahi koi gham e sibt e paymbar me
Jise bhi piyaas lagti wo chashma dhoond leta hai

Talab rind e maye haq ki kabhi puri nahi hoti
Tah e khanjar bhi reh kar Aaabgeena dhoond leta hai

eram naade ali padhkar waraq jab bhi uthata hun
qalam alfaaz e midhat ka Zakheera dhoond leta hai

Eram Mehdi

Abbas ne



is trah rehwar ko kawa diya Abbas ne
paat di lasho'n se sari Karbala Abbas ne

Jaan ke laale pade the lashkar-e kuffar me
Shoor tha sahil pe hamla kar diya Abbas ne

teen din ki piyaas me chullu se pani phenk kar
toor di darya teri saari ana Abbas ne

Dono hatho'n ko kata kr dekhte hi dekhte
kar diya Islam ka qad do guna Abbas ne

Bach gayi jiske badaulat tashnagi ki aabru
Sabr ka wo ghoont sahil pr piya Abbas ne

Alla Alla panjay-e dast-e bureeda ki girf
Aaj tak chora na bai'at ka gala Abbas ne

Ta abad krta rahega qabr-e athar ka tawaaf
di isi dunya me paani ko saza Abbas ne

badh gyai peshaaniye lafze aukhoowat ki chamak 
jis gadhi shabeer ko bhaai kaha Abbas ne