Saturday, 25 June 2016

Imam e Hasan as.

Saheb e Ausaaf e paighambar hasan
Marzi e mabood ka mahwar hasan

Kalmilul imaaan hai dada tera
Markaz e islaam tera ghar hasan

teri ma,n hai do jahan ki maleka
Baap tera fatah e khaibar hasan

Jo teri dahleez par jhukte nahi
Thokaren kahte hain wo dar dar hasan

Sulho ka hai waqt, ya hai jung ka
Kaun jane aapse behtar hasan

Darj hain siffeen ki tareeq me
Aap ki talwar ke jauhar hasan

Dekh ke karbal me yaad ayi teri
Qasim e naushah ke tewar hasan

Ham hain dewane tere sibte rasool
Naam japte hain tera din bhar hasan

Aab e kauser se piyenge khuld me
Aapke pairon ko hm dhokar hasan

Aaj  hai youm e wiladat aapka
Tazkira hai aapka ka ghar ghar hasan

Jhoomta hai gumbad e khizra eram
Wajd me hai khaanye dawar  hasan

*Eram Mehdi*

No comments:

Post a Comment