tanha the ran me sibte payamber
na koi hamdam na koi yawar
Wa hasrta wa hasrta
Wa hasrta wa hasrta
Asghar ne nawak gardan pe khaya
Sheh ka baradar khun me nahaya
Akbar sidhare Qasim sidhare
maare gaye sab zehra ke piyare
ek din me ujra kaisa bhara gar
Wa hasrata wa hasrata
Akbar ne ran me barchi jo khayi
kis dil se sheh ne mayyat uthayi
Laila ke aage sar ko jhukaye
bete ka lasha khaeme me laye
Sabr e shahe din allah o akbar
Wa hasrata wa hasrata
Mushkil thi sa'at aale nabi pr
tooti qayamat aale nabi pr
dil karbala ka sadme se larza
ghazi ke lasha sahil pe tadpa
Cheeni gayi jo zainab ki chadar
Wa hasrata wa hasrata
Asghar ka chehra yaad a raha hai
rona humakna yaad a raha hai
dil se lagaye kis ko sakeena
jhula jhulaye kis ko sakeena
loori sunaye ab kisko madar
Wa hasrata wa hasrata
ye murtaza ka lakhte jigar hai
ye fatima ka noor e nazar hai
tum ja rahe ho jis ko rula ne
Pala hai us ko khud mustafa ne
masnad hai is ki pushte payambar
Wa hasrata wa hasrata
Zehra ki beti ne di duhayi
piyasa bahut hai zehra ka jayi
Bhai ko mere pani pila do
sookhe gale ko aise na kato
Phir bhi na roka zalim ne khanjar
Wa hasrata wa hasrata
Beemar jaago zainab pukari
ran ki khabar lo main tum pe wari
yak dam huwa jo ghash se ifaqa
ankhen jo kholin abid ne dekha
Farq e shahe din nok-e sina pr
Wa hasrata wa hasrata
Deen e khuda ke ham dam ko maara
jaan e rasool e akram ko maara
Ayi qayamat toofan aaya
nok e sina par quraan aaya
Yasreb me larzi qabr-e payamber
Wa hasrata wa hasrata
jab tak eram ye Aalam rahe ga
Sibte nabi ka matam rahe ga
ye phool kalyan ye chand tare
sehra ki reti darya ke dhare
Rote rahenge ta rooz e mehshar
Wa hasrata wa hasrata
na koi hamdam na koi yawar
Wa hasrta wa hasrta
Wa hasrta wa hasrta
Asghar ne nawak gardan pe khaya
Sheh ka baradar khun me nahaya
Akbar sidhare Qasim sidhare
maare gaye sab zehra ke piyare
ek din me ujra kaisa bhara gar
Wa hasrata wa hasrata
Akbar ne ran me barchi jo khayi
kis dil se sheh ne mayyat uthayi
Laila ke aage sar ko jhukaye
bete ka lasha khaeme me laye
Sabr e shahe din allah o akbar
Wa hasrata wa hasrata
Mushkil thi sa'at aale nabi pr
tooti qayamat aale nabi pr
dil karbala ka sadme se larza
ghazi ke lasha sahil pe tadpa
Cheeni gayi jo zainab ki chadar
Wa hasrata wa hasrata
Asghar ka chehra yaad a raha hai
rona humakna yaad a raha hai
dil se lagaye kis ko sakeena
jhula jhulaye kis ko sakeena
loori sunaye ab kisko madar
Wa hasrata wa hasrata
ye murtaza ka lakhte jigar hai
ye fatima ka noor e nazar hai
tum ja rahe ho jis ko rula ne
Pala hai us ko khud mustafa ne
masnad hai is ki pushte payambar
Wa hasrata wa hasrata
Zehra ki beti ne di duhayi
piyasa bahut hai zehra ka jayi
Bhai ko mere pani pila do
sookhe gale ko aise na kato
Phir bhi na roka zalim ne khanjar
Wa hasrata wa hasrata
Beemar jaago zainab pukari
ran ki khabar lo main tum pe wari
yak dam huwa jo ghash se ifaqa
ankhen jo kholin abid ne dekha
Farq e shahe din nok-e sina pr
Wa hasrata wa hasrata
Deen e khuda ke ham dam ko maara
jaan e rasool e akram ko maara
Ayi qayamat toofan aaya
nok e sina par quraan aaya
Yasreb me larzi qabr-e payamber
Wa hasrata wa hasrata
jab tak eram ye Aalam rahe ga
Sibte nabi ka matam rahe ga
ye phool kalyan ye chand tare
sehra ki reti darya ke dhare
Rote rahenge ta rooz e mehshar
Wa hasrata wa hasrata
No comments:
Post a Comment