Naqaab ultega rashk e qamar Kabhi na kabhi
Khulegi qismat e nau e bashar Kabhi na kabhi
Yaqi'n hai ayega wo rahbar Kabhi na kabhi
Zaroor hoga dua me asar Kabhi na kabhi
Dhalegi zulm ki ye do pahar Kabhi na kabhi
Jo aaj zer hain honge zabar Kabhi na kabhi
Isi umeed me nazen bichaye baithe hain
Shab e firaaq ki hogi *sahar* kabhi na kabhi
Ghilaaf e sabr se niklegi zulfeqar e ali
Hunar dikhayega daste hunar Kabhi na kabhi
Wo jis ki zau se andheron ka dam nikalta hai
Wo Noor dekhegi har chashm e tar Kabhi na kabhi
Zami'n pe adl e ilahi ka dabdaba hoga
Basenge hubbe Ali ke Nagar Kabhi na kabhi
Bala o jaur ke lamhe guzar hi jayenge
Haram se ayegi achchi khabar Kabhi na kabhi
Rahegi zinda o Javed daulat e imaan
Milenge khaak me sab seem o zar Kabhi na kabhi
Pas e ghadeer saqeefa ki haisiyat Kiya hai
Zaroor tootega sheeshe Ka Ghar Kabhi na kabhi
Yazeed zada hi bolyega aayaton ke khilaaf
Lahu dikhayega apna asar Kabhi na kabhi
gham e jahan ki shabe'n bhi tamam hongi eram
Tuloo hogi karam ki sahar Kabhi na kabhi
No comments:
Post a Comment