Sunday, 28 March 2021

Neek khu Muhammad ke

 Ham hain har zamane me neek khu Muhammad ke

Taur seekh le waez ham se tu Muhammad ke


Jo nazar me qura'n ki dushman e risalat hain

Jaan o yar  kehta hai unko tu Muhammad ke ?


Be adab sahaba Ke dono hath khali hain

Do jahan ke Malik hai Maah ru Muhammad ke


Jitne bhi munafiq hain mu chupa ke royenge

Hashr me muhib honge Surkh ru Muhammad ke


Sirf ham zami'n waale madh khuwan nhi inke

Jane kitne shiada hain Ku ba Ku Muhammad ke


Kash ham haqeeron ko quld me mile mauqa

Madh e Shan e Haider ho ru ba ru Muhammad ke


Sham e khulq e Ahsan se itna noor nikla hai 

Ab zamin pe jalve hain Char su Muhammad ke


Rabt hai imamat Ka is qadar risalat se 

Bara aayenon me hain bara ru Muhammad ke


Chahe koi zauja ho ya koi sahabi ho

Dushman e ilahi hain sab adu Muhammad ke


Eram Mehdi

No comments:

Post a Comment