Thursday, 14 April 2016

Haidari Gharana Hai...

Maut ek haqiqat hai aur sab fasana hai..
Bargh e khaliq me sab ko mar ke jana hai..
__________________________

Ham dua e Zahra hain maut se nahi darte
Ayen azama len wo jin ko azmaana hai
__________________________

Dushmanan e Zahra se dosti, are tauba
Hashr me Muhammad ko jake mu dikhana hai
__________________________

Aj ye jahan sara jis ke dam se qayam hai
Wo bs ek dunaya me Haidari gharana hai
__________________________

Dar badar bhatakne se hath kuch na ayega
Ayen majlis e shah me jin ko khuld jana hai
__________________________

Ham to ye azadari mar ke bhi na chorenge
Khuld me bhi sarwar ka farsh e gham bichana hai
__________________________

Shah ka gham puran hai, chor do ye kahte ho
Chord do chalo kaba wo bhi to purana hai
__________________________

Khauf ham ko mashar ki dhoop ka nahi bilkul
Jab dua e Zahra ka sar pe shamyana hai
__________________________

Apna peet kar sena sab ko ham sikhate hain
Bakhshishon ka darwaza kaise khat khatana hai
_________________________

Ghaur se suno bachhon, kal tumhen bada hokar
Parcham e shah e wala chand par lagana hai
__________________________

Bhej de mere malik Akhri Muhammad ko
Qaum ko unhe apna haal e dil sunana hai
__________________________

Gulashan e wilayat ka main Eram wo tayer hun
Shakh e midhat e Haider jiska ashyana hai

No comments:

Post a Comment