Tuesday, 26 April 2016

***Ya Zainab e Kubra***



Ummat ne alh-e bait ko kaisa sila diya
Gham ka pahaar dilbare-e zehra pe dha diya..

betey nisaar kar diye ishq-e Ilaah me
Zainab ne deen-e haq ka muqaddar jaga diya..

Ayin watan jo laut ke zindan-e shaam se
Bibi ke shoor o shain ne yasrib hila diya..

Royin lipat ke qabr-e Risalat Maab se
Nana ko dil ka haal tha jo kuch suna diya..

Qabr-e Nabi pe Zainab-e Kubra ke bain the
hamko jahan ne loot ke bekas bana diya..

hai hai bacha na payi mai tere Husain ko
Jo kuch bhi mere paas tha nana luta diya..

Akbar ke dil pe maar ke barchi layeen ne
Naam o nishaan e Shibh e payambar mita diya..

manga jo aaab shaah ne besheer ki liye
Zalim ne teen bhaal ka nawak chala diya..

Qasim ki laash dasht me pamaal ho gai
Ummat ne paas-e aal-e payambar bhula diya

bad e jari husain ki ghurbat na puchye
Ham pr falak ne koh e masaeb gira diya

Ahl-e haram ki cheen lin aada ne chadaren
Asbaab loot le gaye khaima jala diya..

Zindan me char saal ki bachchi ki maut ne
Ahle haram ko khoon ke aansu rula diya..

Piyasa shaheed kr diya Sibt e Rasool ko
Islaam ke satoon-e hidayat ko dha diya..

Sookhe gale pe tegh chalayi Husain ke
Hai hai charaagh-e qabr-e Payambar bujha diya..

Nana tumhari god ke paale ne khoon se
Karb o bla ko qibla e Kaaba bana diya..

Eram Mehdi...

No comments:

Post a Comment