Sunday, 30 April 2017

Rashk e tooba ho gya

Dasht me Asghar ki aamad se ujala ho gaya
zarra zarra karbala ka, rashk e tooba ho gaya

hath kanpa teer chuta sar me sauda ho gaya
hurmula ki qabeliyat ka tamasha ho gaya

ek Tbassum se mahaz e karbala ko sar kiya
Qad rasoolon se ali asghar ka uncha ho gaya

hamlaye besheer tha ya hamlaye Abbas tha
Aek kilkari bhari ran me tahelka ho gaya

Shakal to thi hi ali asghar ki soone ki tarha
has diye to aur sone pr suhaga ho gaya

hurmula khud ho ya uska teen bhala teer ho
jo hasi ki zad me aya teen teera ho gaya

kashtiye islam to asghar bacha kr le gaye
alqama me gharq baiat ka safeena ho gaya

dekh shashmaha tera shabbeer ke kaam a gaya
Madar e Asghar tera armaan pura ho gaya

Hashr ke maidan'n meri tang dasti dekh kr
qatraye ashk-e aza nayab heera ho gya

waqf ki tangi thi lekin dil nahi mana Eram
char misre likhane baithe the qaseeda ho gaya

Eram Mehdi

No comments:

Post a Comment