Sunday, 2 February 2020

qillaye kaibar ki traha

ham bhi koshish jo karen nafs e payambar ki traha
fath ho sakte hain dil qillaye kaibar ki traha

Dawat e haq hai zamane ko Aazan-e Akbar
Badh ke labbaik kahen hurre dilawar ki trha

inkishaf e gham e shabbeer hai ye bhi nuqta
Ashk chubhte hain sitamgaar ko nashtar ki trha

tanz hote hain jo har waqt azadari par
ham sajhte hain inhen taanaye abtar ki traha

Qulzum e  midhat e shabbir se jo bhi uljha
doob kr mr gaya firoon ke lashkar ki trha

Rashni mishal e aamaal me gar kam hogi
ashk chamkenge mere mehr e munawwar ki trha

ham azadaar hain us baagh e jina ke mushtaaq
jis ki har fasl ho fasl-e gham e sarwar ki trha

neek sohbat ka asar sab pe nahi parta hai
har sahabi hai kahan boozar o qambar ki trha

Jis ka dawa ho ke jo poochna chaho poocho
Aek insa'n na mila dahr me Haider ke tarha

Eram Mehdi

No comments:

Post a Comment