Sunday, 2 February 2020

bhooka piyasa ya Ali

Choor kar jaao na aise be sahara ya Ali
ghut ke mar jaayega har aashiq tumhara ya Ali

Yasab o makkah ho ya ho Arz e koofa ya Ali
ro rahi hai tere gham me sari dunya Ya Ali

ibn e muljim kar raha hai gul hidayat ka charaagh
Chaha raha hai sare aalam me andhera ya Ali

sar pe zarbat lag rahi hai sajadye maabod me
hil rahe hain kaba o arsh e moalla ya Ali

be zaban murghabiyon ki ashk bari ko salaam
haye kiya purdard gham hai tera aqa ya Ali

eid ka mahual hai aale abu sufyaan me
le liye badr o ohad ka tum se badla ya Ali

Sohr e matam hai fiza me ahle haq ghamgeen hain
hai labon par subh se bas aek nauha Ya Ali

charkh be raunaq sa lagta hai zameen tareek hai
Ahle Jannat ko hai tere gham ka sadma ya Ali

Shabbar o Shabbeer seena peette hain baar baar
ghash ke alam me pari hai bint e zehra ya Ali

zulm e koofa ibteda thi inteha hai Karbala
Aal e Ahmed ko yahan ghere hain aada Ya Ali

na koyi paas-e Khuda hai na koyi paas-e rasool
ho raha hai itrat o qura'n pe hamla ya Ali

So gaya shane kata kar nahr pr sher-e jawan
khoo'n me ghalta'n ho gaya qasim ka sehra ya Ali

Seenaye akbar se kheenchen kis tarha sarwar sina
Waqt e mushkil hai madad ko aao maula ya Ali

barchion bhalon se aisi mezbani ki gayi
mar gaya Sarwar tumhra bhooka piyasa ya Ali

raah e khaliq me luta kar apni sari kayenaat
khak par be aasra baitha hai kunba ya ALi

Eram Mehdi

No comments:

Post a Comment