Sunday, 2 February 2020

darbadar nahi hoga

Dar e Ali pe jukha jis ka sar nahi hoga
Zaroor hoga wo shaita'n, Bashar nahi hoga

Nizam Deen ka zer o zabar nahi hoga
Adu Ali ke na honge to shar nahi hoga

Agar zara bhi adawat hai aale imra'n ki
Nabi ke qaul ka bhi kuch asar nahi hoga

Khuda ke lutf ka markaz hain Sab aza khane
Yahan Jo ayega wo darbadar nahi hoga

Wo jis ke paas khazana nahi hai ashkon ka
Marega jab to koi charagar nahi hoga

Aza se sab ko hidayat milegi ta mehshar
Ye aaftab kabhi be Sahar nahi hoga

Mera imam hai babul muraad ka waris
Eram ke haal se wo be khabar nahi hoga

Eram Mehdi

No comments:

Post a Comment