Wednesday, 16 June 2021

Ishq ka jazeera hai

 Karb me sahara hai dard me maseeha hai

Karbala jise kahiye ishq ka jazeera hai


Kaam Jo rasoolon ke mushkilon me Aaya hai

Wo hamara aaqa hai wo hamara maula hai


Ghair ka tasawwur bhi ab muhaal jaisa hai

Madh ki zameen'on pr Karbala Ka saya hai


Shaikh ki nigahon me ab bhi wo khaleefa hai

Jo wegha ke maida'n se Bar bar bhaga hai


Wo bhala qayamat me tumko Kiya bachayega

Khud jo sanp ke dar se zaar zaar roya hai


misle boozar o qambar Ishq keejye Sheh se

Gar Zara bhi nazron me hurmat e sahaaba hai


Shaam aur yaman me bhi dekh lo jahan walon

Phir Husain jeete Hain phir yazeed hara hai


aaj has rahe Hain wo majlis e shahe di'n pr

Jin ko kal qayamat me mu chupa ke Rona hai


bahre bughz e Haider me jab bhi shaekh utre hain

Juz qibalaye lanat haat Kuch na aaya hai


Dashte Karbala tere surajon ka har khema

Hauslon Ka qibla hai juraton Ka kaaba hai


Padh lo seerat e hur ko tum bhi Jan jaoge

Kis traf traf haqeeqat hai kis traf fasana hai


Ashk e Majlis e sarwar do mizaj rakhta hai

Ishq ho to shabnam hai bugh ho to shola hai





Ye yazeed Ka Lashkar us ke khun Ka piyasa hai

Jis ki tegh Ka loha lashkaron ne mana hai


Shoor hai talaatum hai bebasi hai naala hai

Teen zor Ka piyasa jang Karne Aaya hai


Maimana dareeda hai maisara do para hai

Kiya ghazab ki tezi hai Kis ghazab Ka hamla hai


Sham ke shareeron ko is trah se kata hai

Jism purza purza hai farq para para hai


Aab aab darya hai khoon khoon sehra hai

  Karbala ki soorat me hashr Ka nazara hai


Zabar e tegh e sarwar se katne wale lakhon hain

Saikron to tanha murtajaz ne raunda hai





No comments:

Post a Comment