Koon dega be saharon ko sahaara ya Ali
Shaq hai ham bekason ko gham tumhara ya Ali
Yasab o makkah ho ya ho shehr e koofa ya Ali
ro rahi hai gham tere me sari dunya Ya Ali
ibn e muljim kar raha hai gul hidayat ka charaagh
Chaha raha hai dono aalam me andhera ya Ali
sar pe zarbat lag rahi hai sajadye maabod me
hil rahe hain kaba o arsh e moalla ya Ali
be zaban murghabiyon ki ashk bari ko salaam
Maut hai mashoq o Ashiq ka bichadna ya Ali
Jashn ka mahaul hai aale abu sufyaan me
le liye badr o ohad ka aaj badla ya Ali
Sohr e matam hai fiza me ahle haq ghamgeen hain
hai labon par subh se bas aek nauha Ya Ali
charkh be raunaq sa lagta hai zameen tareek hai
Ahle iman ko hai tere gham ka sadma ya Ali
Shabbar o Shabbeer seena peette hain baar baar
ghash ke alam me pari hai bint e zehra ya Ali
zulm e koofa ibteda thi inteha hai Karbala
Aal e Ahmed ko yahan ghere hain aada Ya Ali
na koyi paas-e Khuda hai na koyi paas-e rasool
ho raha hai itrat o qura'n pe hamla ya Ali
So gaya shane kata kar nahr pr sher-e jawan
khoon me tar ho gaya qasim ka sehra ya Ali
Seenaye akbar se kheenchen kis tarha sarwar sina
Waqt mushkil hai madad ko aao maula ya Ali
barchion bhalon se aisi mezbani ki gayi
mar gaya Sarwar tumhra bhooka piyasa ya Ali
raah e khaliq me luta kar apni sari kayenaat
khak par be aasra baitha hai kunba ya ALi
No comments:
Post a Comment