786
❤️❤️❤️❤️❤️
Niklegi bat jab bhi haram ki, jidaar ki
Ayegi Yaad Dosh e Nabi ke sawaar ki
Ghadyan huin tamaam shab e intezaar ki
Chayi bayaaz rehmat e parwardigar ki
Daure khiza'n tamaam hua Chahta hai ab
Khusbu si a rahi hai gul e nau bahaar ki
Ab se sanam tarash ko fikr e maash hai
Koshish me barhaman hai naye rozgaar ki
Utregi aaj arsh se wo zaat e ba safa
Baes hai Jo Nabi ke sukoon o qaraar ki
Khul Kar hasega khanaye parwardigar bhi
Pehli khusi hai Mursal e aali weqaar ki
Kiyun kr Khushi se surkh na ho cheraye nabi
*Aaamad hai aaj khasaaye parwardigar ki*
Naqsh e shigaaf Dekh ke Lagta hai ba khuda
Aayat likhi hui hai wila ke khumaar ki
Dozakh adoo e haq ke muqaddar Ka naam hai
Jannat hai murtaza ke etaa'at guzaar ki
Qausaen o ma wara se bhi aage ke baat kar
Jannat to aek jhalak hai had e Iqtedar ki
Maula eram ko rauzaye aqdas dikhaeye
Muddat se aarzu hai Dil e khaakSaar ki
Eram Mehdi
❤️❤️❤️❤️❤️
No comments:
Post a Comment